1. Pucha maine usse jab aaj meethe me kya hai,
Zara sharma ungli usne apne labon par rakh di
2. Mai logo se mulakatein bhulna laga hu,
Lagta hai uske ehsaas ke saath chalne laga hu
3. Ishq yu hua ki dhundhla gaya ye jahan,
Aaine me dekhna khud ko chaha magar chera uska aagaya
4. Koshish nahi kari thi baat karne ki, puri saazish kari thi unse mulaqat karne ki
5. Log kehte hai vo tumhaari “haan” intezaar karta hai,
Koi unhe bataye hum toh pehli nazar me hi “haan” kar chuke hai!
6. Aankho me sawaal aur chuppi labon pe saade hai,
Wallah! Hum toh teri muskurahat ke deewane hai
7. Yu kareeb se guzar jaana,
Tumhara yu kareeb se guzar jaana,
Ek mulaqat se kam nahi!
8. Duppate me vo kamaal tha jo wakahi bemissal tha,
Vo yu lehra ka guzra karti thi, aur duppata mere chehra chhod nahi pata tha.
9. Vo iss kadar paise bachati jaise desh chalna ho,
Uski zidd thi ki use mere janamdin par kuch dilana ho.
10. Vo gali me 10 baar guzarna alag hi mohabbat thi,
Aur balkani me uska 1 baar dikh jaana, bas agle 10 baar ke liye kaafi hoti thi.
1. Mohabbat yu hai ki uski izzat ke liye saare aam mukar jayenge,
Ye dil hai na uski izzat mar mit jayenge
2. Pyaar-love ehsaas aur feeling sab kuch me bhut locha hai,
Jab bhi use dekha kuch kuch hota hai
3. Dil se chaha hai isliye sabki “haan” se le jayenge,
Agar bas yuhi chaha hota toh tumhari “haan” le jaate.
4. Tum vo Haq ho mera jo dil ke faisle karta hai,
Meri rooh ka zarra-zarra tumhare naam se pyaar karta hai
5. Agar pyaar hi dekhna hai toh dekho,
Karke dekhna unse pyaar ki baatein aur baato me mai na aau toh kehna.
6. Ishq ki taakat ka toh koi hisaab nahi,
Vo lafzon se jo keh nahi pati thi mai aankho padh leta hu.
7. Zindagi ka sabse haseen lamha jeekar aaya hu,
Aaj mai unke haatho ki chai peekar aaya hu.
8. Bazaar me abb koi uspar aankh utha kar nahi dekhta,
Abb sab unhe “bhabhi” jo kehne lage hai
9. Vo har mangalvaar mandir jaaya karti hai,
Kyuki uss din mai apni maa ko lekar waha jata hu
10. Aaj kal zara zara se baat par ruthne lagi ho
Lagta hai mujhse mohabbat karne lagi ho
1. Jism se bhi koi mohabbat hoti kya,
Mai toh bas uski rooh ko chahne laga hu.
2. Filmo wala pyaar nahi hai kyuki koi villain nahi hai,
Bas hum izhaar kar chuke aur vo zara waqt le rahi hai.
3. Mohabbat ke bhi do pehlu hote hai,
Ek jaha mai beintaha mohabbat karta hu aur dusra jab vo sharme ke apne hothon ko dabati hai.
4. Mann karta iss lamhe me kaid ho jau, waqt ko zara yehi rok du
Tum abhi toh aakar baithi hu, tumhe zara gaur se dekh toh lu
5. Aaj kal dosto ke sath kam uthta baithta hu,
Kyuki Mai kabhi phone par hu unke sath, kabhi vo phone par hoti hai mere sath.
6. Mera chai wala bhi samjh gaya hai,
Ki janab mujhe ishq hone laga hai.
7. Aapne kaan ke jhumko ke saath khel rahi ho,
Lagta hai mere khayal me dhubi huyi ho
8. Agar ishq hai toh saare aam hone de,
Tera saath khada tamasha bekhauf hone de.
9. Bhaunga nahi bas door le jaunga,
Bina permission chununga nahi bas shadi kar lunga
10. Agar mujh pe bharosa hai toh jamkar ishq kar,
Duniya pe hai toh unse jaake meri baat kar.
1. Bhut yaad karte hai vo log,
Jab unn deewaro par hum dono ka naam dekhte hai.
2. Hum zara mashroof kya hua, unhone pura phone sms bhar diya.
3. Kisi ka intezaar karna bhi bada khubsurat hota hai,
Aur tab jab vo apki chahne wali ho.
4. Vo ek nazar dekhne ke liye roz paas wali dukaan me aaya karti thi,
Mai ek nazar dekhne ke liye roz bagal wali tapri ki chai peene jaaya karta tha.
5. Roz roz milna toh kismat me nahi tha,
Haan ye alag baat hai ki unki rasoi khushbu hamare ghar tak aati thi.
6. Dinbhar phone pe baat karu itna samay nahi tha,
Ye aur baat ki vo samajhkar ek message chhod diya karti thi “khana kha lena”
7. Mere liye vo jeeta jagta khawab thi jise bas meri kismat me likh diya tha.
8. Sukh dukh ka toh pata nahi, bas vo samjha diya karti thi hum samjh liya karte the
9. Tu liptane ka waada toh kar,
Mai sardiya le aaunga.
10. Mat pooch mere jaagne ki wajah aye chand,
Teri hi humshakal hai woh jo mujhe sone nahi deti.
1. Socha tha iss kadar bhul jayenge, dekh kar bhi unko undekha kar jayenge,
par jab jab wo samne aayi socha ek bar dekh lu agli bar bhool jayenge.
2. Mai aur chand ek jaise hai,
Vo taaro me tanha mai hazaaro me tanha.
3. Humse nafrat bhi kuch yu nibhaayi gayi,
Hamare saamne chai banakar, gairon ko pilaayi gayi.
4. Woh shaks ek choti si baat par yu rooth kar chala gaya,
Jaise uset sadiyon se kisi bahane ki talash thi.
5. Wo mohabbat sahi nahi jismein aap kabhi block nahi huye
Ae dil tu khafa na jada din nahi jab hum unblock honge.
6. Talab aisi ki saanson mein sama loon tujhe,
Kismat aisi ki dekhne ko mohtaaj hoon tujhe.
7. Akele khush hoon ab main pareshaan mat kar.
Ishq hai toh ishq kar, ehsaan mat kar.
8. Toote huye dil bhi dhadakte hai umar bhar, chahe kisi ki yaad mein,
Ya phir kisi ki fariyaad mein.
9. Tum mohabbat na kar saki, mai dosti na kar saka tumse.
Apne darmiyan jo rishta raha, apni-apni Samjh ka tha.
10. Socha toh nahi tha par theek ye din bhi hum khushi se jee lenge,
Bas tum aao ya na aao intezaar me tumhare zindagi me beeta lenge.
1. Kabhi gaano me kabhi fasano,
Bas tum hi tum nazar hote ho mere dil ke aashiyane me.
2. Vo khub kehte the, mai unke bina reh nahi paunga.
Sach toh ye hai ki mai unke bina jee nahi paunga.
3. Mohabbat e jaam pila dijiye, log use maikhana bulana band kar denge,
Sharab ka nasha bhi kya cheez hai uski aankho me dekhiye log jaam bhula denge.
4. Thodi se khushi maangi thi rab se,
Hume aapse milakar “khushnaseeb” bana diya.
5. Kisne bola hai tumhe, khul ke tamasha karna.
Gar ishq karte ho toh bus, zara sa ishaara karna
6. Na jaane kya jaadu hai uske pyaar mein,
Jab bhi unke saath rehta hoon, toh dard mehsoos hi nahi hota.
7. Na jhagde hum aapas mein, bikhar kar toot jaayenge,
Hamara aaina tum ho, tumhara aaina hum hai.
8. Woh tez baarish thi aur mai mitti se bana insaan,
“Beh gaya”
9. Kuch to socha hoga kismat ne tere mere baare mein,
Warna 130 crore ki abadi mein, tumse hi mohabbat kyu hoti.
10. Ji bhar ke dekhi tujhe agar tujhe gawara ho,
Betaab meri nazrein aur chera tumhara ho.
1. Pehli mulakat thi hum dono ho bebas they,
Woh aankho me bhut kuch keh gaye aur main khud ko sambhaal nahi paayi.
2. Meri har shikayat mita gaya,
Jab vo aakar zor se seene se laga gaya.
3. Khud ko kisi ki amaanat Samjh kar, har lamha wafaadaar rehna,
Ishq hai sahab ishq karte rehna.
4. Woh mujhse bhi ladta hai,
Aur mere khatir bhi lad sakta hai.
5. Vo keh gaya intezaar karna mera,
Uske aane ki khushi me mai roz chand me use dekh liya karti.
6. Khubsurat hai vo kisi chand jaisa, bas taare bhut kareeb hai uske, dard lagta hai Kho dega mujhe ya pakad lega.
7. Jab toot rahi thi kisi dusre ke gam, haath thamaya usne aur kaha “ye aansu phir kabhi nahi aane dunga”
8. Shayad ye usi ka intezaar tha, jaise use dekhte dil zor zor se dhak dhak karne lagta hai.
9. Beech bazaar me hawayein kaafi chalti hai,
Kabhi mere duppata bhi unki gadi me phas jaaye.
10. Vo seedha shadi ka haath maange aagaya,
Kehta hai bas tum hi ho “final” phir baaki toh dekhta time waste kyu karna hai.
Separation is never easy for lovers but it can be made smooth by sharing true feelings. Our goodbye messages for boyfriend has been drafted by experts with an intent that they express true feelings without being sound harsh. If your relationship has come to the point of separation and you are looking for words that can express your feelings, then our goodbye messages collection can be a real help for you. You can use it the way it is or write it on your own taking ideas from here.